Ek Shakhs Ko Dekha Tha | Sad Urdu Poetry | Annie Urdu Poetry
Ek shakhs ko dekha tha
Taron ki tarha Hamne
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamne
Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamne
Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain
Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain
Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain
Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein
Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain
Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain
Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi
Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main
Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main
Wo shaks hamain aik din
Apnon ki tarhaa Bhoolla
Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta
Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha
Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai
Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney.
0 Comments
Thanks For Comment